Kyo Jaruri Hai Jeevan Bima ??
Why Should Buy Life Insurance ??
Future Planning Kaise Kare ??
Saving Kaise Ki Jaye ??
Apni Future Secure Kaise Kare ??
Minimum Kitne Ka Hona Chahiye Life Insurance ??
Life Insurance Me Nominee Kise Banaye ??
In Sabhi Quotations Ka Answer Milega Is Article Me
Hello friends aaj me is article me aapko in sabhi quationas k answer dunga.. taki kisi ko bhi life insurance lene me koi paresani na ho.. or aap aasani se ye decide kar sake ki kitne ka life insurance lena hai ... kitni term honi chahiye..
kyoki bina soche samjhe life insurance lene se aapki planing kharab ho sakti hai..
guys me yeh article massage language me isliye likh raha hu ki sabhi people aasani se samajh seke.
waise to life insurance sabhi k liye bahut jaruri hai but middle class family k logo ke liye to ye bahut jaruri hai kyoki unke bahut expensive kaam to lic k return se hi sambhav hai.. like child marriage, child education and more..
Why Should Buy Life Insurance ??
guys every person ke liye life insurance bahut jaruri kyoki bina life insurance k future planing ki sochna bahut muskil hai..
Friend me blog author k sath hi ek life insurance advisor hu or mujhe bahut salo ka experience hai uske behalf par aapko bta du ki har person ke liye ek alag plan hota hai wo uski age par depend karta hai..
Agar aap chahte hai ki aapki daughter ki ya son ki marriage bahut ache se ho.
Agar aap chahte hai ki aapke child ki senior education achi ho,
Agar aap chahte ho ki aapka child ek ache institute or college se education le.
Agar aap chahte ho ki aapki old age hone par aap aaram ki zindgi jiye.
To aapko Life insurance lena hi padega..
Minimum Kitne Ka Hona Chahiye Life Insurance ??
Life insurance lena to aasan hai but kitne ka lena hai ye decide nahi kar pate log..
to me aapko bta du ki life insurance decide karne ke liye yah dekh le ki aapki annual salary kitni hai.. aap sabhi sources ko milakar 1 saal me kitna earn kar lete to... uska 8 se 10 guna Risk cover hona chahiye...
isko aap ease samjhe man lo ki aapki anual salary 2 lakh hai to aapko iska 8-10 guna 20 lakh ka life insurance lena hai..
Agar aapki salary 5 lakh hai to aapko 40-50 lakh ka sum assured hona chahiye tabhi aap k liye benifit hoga bima lene ka..
Kyoki me isliye bta raha hu ki ham sabhi jante hai ki ham isliye insurance karwate hai taki hamare na rahne par hamare gharwalo ko itna paisa mil jaye ki wo apni life aaram se gujar sake.. kyoki ghar me ek kamane wale ke upar puri jimedari hoti hai family ki.. agar hamne koi life insurance nahi liya ho.. or kuch ghatna ho jaye to uski famili me se ek to ghar ko responsible member chala jayega or dusra income ka source nahi rahega.. to kam se kam apni nahi to apni family ki, apne child education ki, apne child marriage ki soch kar life insurance ka koi ek plan jarur le.
Life Insurance Me Nominee Kise Banaye ??
Dosto bahut se log to yeh decide karne me bhi sochte hai ki me apni policy me nominee kise banau.. to me aapko bta du ki first preference apni family me se hi kisi ko nominee banaye jo sirf aap par hi depend ho like apni wife, mother father, iske bad apne child, brother or sabke last me option hai other reletion me se kisi ko.. jo aapse bahut close relationship me ho.. kyoki aapke na rahne par usi ko sara claim milega..
Kis Company Se Le Life Insurance ??
Friends aap sabhi jante ho jaha life insurance ka name aata hai logo ki dimag me sabse pale LIC Company aati hai ye sahi bhi but log privete compnay me bhi invest kar dete hai kyoki ya pvt companies me jo agent hote hai wo bharmit karke logo ko life insurance sale kar dete or fir bad me claim k liye paresan hote rahte hai kyoki pvt companies me claim aasani se nahi hote. or aap pvt insurance compnies ke agent k jhanse me aakar policy buy kar lete hai..fir kuch salo ke bad ya to compay nahi rahti ya agent paise kha kar bhag jata hai..
me aapko yeh advice dena chahunga ki aap Sirf LIC Of India se hi life insurance by kare iske piche yeh Reason hai ki LIC Ka jo claim retio hai wo near by 99% hai jo nominee ko milta hai.. Govt base company hai continue 60 salo se chal rahi hai..
Isliye me to yahi kahunga ki agar koi bhi Life insurance lena hai chahe apne liye ya apne child k liye kisi ke bhi liye to Sirf LIC hi choose kare.. Aapko every age step k liye plan mil jayenge.
Life Insurance Policy Term Kitni Honi Chahiye ??
Ye bhi bahut important hai life insurance me policy term kitni ho..
me aapko bta du ki life insurance me koshis kare ki term lambhi ho. kyoki ham sabhi jante hai ki jaise jaise hamari age hoti hai hame risk bhi jyada hone lagti hai isliye or second reason yah ki jitni lambhi term hogi premium bhi kam aayega or bahut jyada return dene wala Plan le sakte hai..
sirf 1000 rupye monthly me or 30 rupees daily me aap 15-20 lakh ka bima le sakte hai..
Ab yeh to confirm ho gya ki koi bhi ye article padne ke bad bima lene me sochega nahi or aasani se decide kar payega ki konsa plan le or Term kitni..
Agar iske alawa bhi koi bhi doubt ho to aap comment k dwara koi bhi query puch sakte hai me har comment ka reply deta hu.
Aap mujhe mail bhi kar sakte hai apni query or suggestion E-mail mahendrabairwa77@gmail.com or whatsapp kar sakate hai 8104804977 par.
Apna Review Dena na bhule Thanks.